aaj-kal be-qarar hain hum bhi baith ja chalne haar hain hum bhi aan mein kuchh hain aan mein kuchh hain tohfa-e-rozgar hain hum bhi mana girya na kar to ai naseh is mein be-ikhtiyar hain hum bhi darpai jaan hai qarawul marg kaso ke to shikar hain hum bhi nale kariyo samajh ke ai bulbul bagh mein yak kanar hain hum bhi muddai ko sharab hum ko zahar aaqibat dost-dar hain hum bhi muztarib girya nak hai ye gul barq abr-e-bahaar hain hum bhi gar za-khud rafta hain tere nazdik apne to yaadgar hain hum bhi 'mir' nam ek jawan suna hoga usi aashiq ke yar hain hum bhi