yun to bahut hasin hai bahaar-e-chaman ki yaad dil par magar hai naqsh isi anjuman ki yaad hum khud gham-e-hayat se sina-figar hain ai dosto dilao na us gul-badan ki yaad is intha-e-talkhi-e-dauran ke bawajud taza hai aaj bhi kisi shirin-dahan ki yaad phir ji mein hai ki khaiye koi naya fareb phir aa rahi hai ek but-e-wada-shikan ki yaad rangin baadalon ke ye tukde ye chandni aksar dila gae hain tere bankpan ki yaad uljhan gham-e-hayat ki kuchh aur badh gai aai hai jab bhi zulf shikan-dar-shikan ki yaad 'arshad' dayar-e-ghair mein sab kuchh luta ke hum dil se lagae phirte hain apne watan ki yaad