aaj-kal kaba kalisa ho gaya dil par ek kafir ka qabza ho gaya dafatan dil ko mere kya ho gaya kis pe mail kis pe shaida ho gaya be-qarari ka sabab khulta nahin baithe baithe ye mujhe kya ho gaya la-dawa kyon ho gaya mera maraz kya khafa mujh se masiha ho gaya wo ye farmate hain hum samjhe nahin muddaa goya muamma ho gaya be-talluq ho gae duniya se hum jab se dil ko ishq tera ho gaya ab nahin pahchanta koi mujhe fart-e-gham se ab ye naqsha ho gaya kar diya mahw un ko un ke husn ne dekh kar aaina sakta ho gaya sun ke sakit sab hue 'hamid' ke sher dam-ba-khud jalse ka jalsa ho gaya