dil ko lunga na dil-ruba ke ewaz muddai aur muddaa ke ewaz us ke kuche mein naqsh-e-pa us ke ban gae khizr rahnuma ke ewaz ye bhi arman rah gaya dam-e-naza kash aata koi qaza ke ewaz yahi iqrar tha yahi wada ab jafa hoti hai wafa ke ewaz mere jine se kya tumhein hasil zahr de do mujhe dawa ke ewaz shauq agar aap ko hai mehndi ka khun mal lijiye hina ke ewaz kya jahannum mein mujh ko jaana hai tum ko chahun buto khuda ke ewaz tum ko chaha yahi qusur hua do saza mujh ko is khata ke ewaz 'hamid'-e-zar kya kahun un se hai dua lab pe muddaa ke ewaz