aaj-kal ke shabab dekhe hain sare khana-kharab dekhe hain phul jaise husain chehre bhi hae sahte azab dekhe hain ishq ki rah mein wo lutte hue hum ne lakhon janab dekhe hain hai ye ulfat bhi kya bala sahab is mein jhukte nawab dekhe hain ek ek pal ko yaad rakhte the wo tumhaare hisab dekhe hain tum hata do ye apne chehre se hum ne kafi naqab dekhe hain pahle mohsin the phir bane zalim log aise itab dekhe hain jis pe mahtab tum rahe marte ab wo hote sarab dekhe hain