ab ke junun mein lazzat-e-azar bhi nahin zakhm-e-jigar mein surkhi-e-rukhsar bhi nahin hum tere pas aa ke pareshan hain bahut hum tujh se dur rahne ko tayyar bhi nahin ye hukm hai ki saunp do nazm-e-chaman unhen nazm-e-chaman se jin ko sarokar bhi nahin toda hai us ne dil ko mere kitne husn se aawaz bhi nahin koi jhankar bhi nahin hum parsa hain phir bhi tere dast-e-naz se mil jae koi jam to inkar bhi nahin thahre agar to dur nikal jaegi hayat chalte raho ki fursat-e-didar bhi nahin jashn-e-bahaar dekhne walon ko dekhiye daman mein jin ke phul to kya khar bhi nahin