aaj-kal ushshaq ka diwala nikla jae hai husn ki farmaishon ka tax badhta jae hai ek aashiq gham ka hai ek shadmani par nisar koi uttar koi dakhkhin jis ko jo bha jae hai bul-hawas to narasa-e-auj-e-baam-e-ishq hai jis jagah kana na pahunche wan pe andha jae hai influenza mein hain ushshaq aksar mubtala kucha-e-jaanan mukammal ward banta jae hai dosto tum ko sutun banna hai urdu ke liye warna barish se tassub ki ye ghar dheh jae hai sirf iskimon pe mansube ka hai dar-o-madar mashware hote hain jaise khwab dekha jae hai har zamin-e-sher mein ghalla ugao ki muhim fikr ke hal se yahan awsar ko jota jae hai