dast-e-ulfat badh gae main un ka shaida ho gaya hijr ka gham is qadar khaya ki haiza ho gaya hum the m a pas interwiew mein phir bhi rah gae matric lekin minister ka nawasa ho gaya wo samajhta tha ada hai ho agar tirchhi nigah mashq ki itni ki aakhir wo patankha ho gaya dekhta tha munh raha jis waqt tak ye aaina ab dil-e-sad-chaak mera un ka kangha ho gaya tir ulfat ka kahin pura kahin aadha laga koi andha ho gaya aur koi kana ho gaya qais ko tha ishq phir laila ko ulfat ho gai ibtida mein nar jo tha aakhir wo mada ho gaya kanth mala us ke nikla ho gaya wo talkh-kaam jo ki mitha aam tha kadwa karaila ho gaya yaad aaya jabki majnun tha kabhi lambi khajur ya wo din hai sukh kar bilkul chhuara ho gaya