aaj ke daur mein mohabbat kya kis ne jaana hai is ki izzat kya ho sikandar ya koi shah-jahan kaam aai kisi ke daulat kya qadr man ki jo kar nahin sakta jaane kya hoti hai ye jannat kya dil mera mangte ho kyun aakhir karna hai us ki bhi tijarat kya jis pe jaez zakat hai waiz aap ke pas hai wo daulat kya mol tera bata main kya de dun jaanta hai to apni qimat kya chain hai amn hai khushi hai yahan hai ye daulat teri badaulat kya pyar ki aankh hi nahin 'panchhi' kaun dekhega dil ki haalat kya