takhliq ke parde mein sitam tut rahe hain aazar hi ke hathon se sanam tut rahe hain dhai kahin jati hai jo tamir-e-mohabbat mahsus ye hota hai ki hum tut rahe hain suljhe na masail gham o aflas ke lekin tafsir-e-masail mein qalam tut rahe hain be-faiz guzar jate hain gulshan se hamare mausam ke bhi ab qaul-o-qasam tut rahe hain raqqas-e-shabistan-e-hawas tujh ko khabar hai aaine tere zer-e-qadam tut rahe hain raat aur jawan ho to ujala ho faza mein palkon se sitare abhi kam tut rahe hain bedar hue jate hain ijad ke shoale har lahza tilismat-e-adam tut rahe hain allah-re kashish us nigah-e-zohd-shikan ki markaz se ghazalan-e-haram tut rahe hain allah ke hote mujhe kyun fikr ho 'kausar' bandon ke jo aain-e-karam tut rahe hain