aaj kuchh andesha-e-sarsar nahin

aaj kuchh andesha-e-sarsar nahin
ab koi hum mein shikasta-par nahin

samne shishe to hain lakhon magar
aaj apne hath mein patthar nahin

phul zakhmon ke khile hain ja-ba-ja
ye to mere shahr ka manzar nahin

jal rahe hain hum to apni aag mein
aatishin tera hasin paikar nahin

raushni ki bhik mangun ghair se
itna bhi tarik mera ghar nahin

ho gae 'betab' ab hum sarfaraaz
ab kisi chaukhat pe apna sar nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close