farishton se mohabbat kar rahe hain jawani mein ibaadat kar rahe hain wo ab khul kar inayat kar rahe hain shararat ba-jamaat kar rahe hain faqiron ko amiri mil gai hai zamin par baadshahat kar rahe hain khudawanda tere masum bande wafa ki phir himaqat kar rahe hain hamari rah mein kante bichha kar sitam wo hasb-e-adat kar rahe hain nazar aa kar utar jate hain dil mein ye chehre kya qayamat kar rahe hain zamana rah par aa jae 'tabish' ye khwahish ma-badaulat kar rahe hain