aaj kyon makanon mein raushni nahin hoti log zinda rahte hain zindagi nahin hoti jab talak na ho zakhmi kaun kis se ladta hai be-sabab kisi se to dushmani nahin hoti pahle ye samajh lije masale ka hal kya hai sirf mashwaron se to rahbari nahin hoti mukhtalif masail par guftugu to aasan hai jab talak na dil tute shairi nahin hoti lakh koshishen kije hum badal nahin sakte is taraf nazar jab tak aap ki nahin hoti dusron ka gham kya hai ye samajhna mushkil hai jab talak khud apne se aagahi nahin hoti rabt-e-bahami 'nashtar' apna be-asar kab hai phir bhi yun hi milne se dosti nahin hoti