dil bahalta hi nahin hai jab kisi tadbir se

dil bahalta hi nahin hai jab kisi tadbir se
haal-e-dil kahta hun apna main teri taswir se

tirgi chhai hui hai is qadar ab chaar-su
jaise raushan hi na hogi zindagi tanwir se

apne hathon se bigada main ne jab taqdir ko
phir karun kyun-kar shikayat katib-e-taqdir se

dil mein pahle hi gham-o-alam-e-duniya kam na the
aur ghayal ho gaya tera nazar ke tir se

ab na rangin khwab mustaqbil ke dikhlao mujhe
khub waqif hun main aise khwab ki tabir se

kuchh ajab aalam hai dil ka jab se tera khat padha
tujh ko kya malum dil kitna dukha tahrir se

sirf mayusi ki daldal hai jidhar bhi dekhiye
hum ko ye tohfa mila hai husn ki jagir se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close