aaj mehndi lagae baithe hain khub wo rang lae baithe hain mere aate hi ho gae barham kuchh kasi ke sikhae baithe hain tegh khinchi hai qatl par mere hath mujh se uthae baithe hain main shikayat jafa ki karta hun chupke wo sar jhukae baithe hain dum churae hue pade hain hum wo jo baalin pe aae baithe hain imtihan ko kaha to bole wo hum tumhein aazmae baithe hain kas ko nazron se aaj utarenge kyun wo tewari chadhae baithe hain dekhiye kab wo shama-ru aae sham se lau lagae baithe hain talna wasl ka jo hai manzur khud se khud munh thuthae baithe hain sada-pan mein hazar jauban hai baal khole nahae baithe hain kaun pahlu se uth gaya 'anjum' aap kyun dil dabae baithe hain