bahaar aai hai sote ko tuk jaga dena junun zara meri zanjir ko hila dena tere labon se agar ho sake masihai to ek baat mein jita hun main jila dena ab aage dekhiyo jitun na jitun ya qismat meri bisat mein dil hai ise laga dena rahun na garmi-e-majlis se main teri mahrum sipand-war mujhe bhi zara tu ja dena khuda kare teri zulf-e-siyah ki umr daraaz kabhi bala mujhe lena kabhi dua dena ba-rang-e-ghuncha zar-e-gul ke tain girah mat bandh 'fughan' jo hath mein aawe use uda dena