aaj phir ru-ba-ru karoge tum mujh se kya guftugu karoge tum mujh se loge mere lahu qisas phir mujhe surkh-ru karoge tum haif ho meri bad-mizaji par aap apna lahu karoge tum tum ganwa doge ek din mujh ko phir meri justuju karoge tum tum saf-e-dostan mein ho lekin phir bhi kar-e-adu karoge tum zakhm par zakhm khae jate ho aur rafu par rafu karoge tum hum bhi maqtal mein sar kataenge apne khun se wuzu karoge tum ai meri jaan aib hai ye bhi hum ko main tum ko tu karoge tum main to 'shahid' bhi hun 'kamal' bhi hun mere haq mein ghulu karoge tum