ajab hain hum ye kis ki sai-e-la-hasil pe rote hain abhi zinda hain aur nakaami-e-qatil pe rote hain hamein rah rah ke tufan ki rifaqat yaad aati hai hain ab aasuda-e-sahil khade sahil pe rote hain bahut hum ko rulaya mazi-o-imroz ne so ab nashat-e-girya aisa hai ki mustaqbil pe rote hain giroh-e-ashiqan tha shahr-e-girya un ki manzil thi ye raste bhar bhi rote aae ab manzil pe rote hain kahan rote hain hum aaghaz-e-tansikh-e-talluq par jo khinchi ja chuki hai us had-e-fasil pe rote hain