aaj phir shab ka hawala teri jaanib thahre chand mazmun bane sharh-e-kawakib thahre dad-o-tahsin ki boli nahin tafhim ka naqd shart kuchh to mere bikne ki munasib thahre nek guzre meri shab sidq-e-badan se tere gham nahin rabta-e-subh jo kazib thahre mukhlisi bais-e-tazhik zehanat dushman ye mahasin to mere haq mein maaib thahre main hun khud se mutaqabil mutabaadil mutazad ruh thahre mera unwan kabhi qalib thahre bat hi dil ke juda hon to bhala kaun aakhir kis ka ham-wazn ba-mizan-e-matalib thahre