apni hasti se tha khud main bad-guman kal raat ko kuchh na tha andesha-e-sud-o-ziyan kal raat ko chandni barsat sehn-e-gulistan dilkash hawa thin hujum-e-gham mein ye ranginiyan kal raat ko wusat-e-takhil ke halqe mein tha arsh-e-barin dekhti thin chashm-e-dil kaun-o-makan kal raat ko mil rahe the dast-e-ulfat se mujhe jam-e-sharab mehrban tha wo but-e-na-mehraban kal raat ko wo mohabbat ki nigahen wo mohabbat ke kalam han do-baala thi ada-e-dil-satan kal raat ko har nazar paigham har andaz mein raqsan ummid aur hi tha us ka tarz-e-imtihan kal raat ko iffat-e-ulfat se thi aaina-e-dil ki jila warna tha jazbaat ka dariya rawan kal raat ko zauq se wo sun rahe the dastan-e-gham meri ho raha tha inqilab-e-asman kal raat ko dil ki ek aawaz thi is bazm mein tafsir-e-gham ho chuke the wo bhi majbur-e-fughan kal raat ko tafarqe be-aitmadi dushmani makr-o-fareb thi teri tabir ai hindostan kal raat ko so chuke the chand hi ghanton mein arbab-e-nashat subh tak tha sath wo aaram-e-jaan kal raat ko rang-e-sahba chashm-e-nargis mein tha 'asi' waqt-e-subh jagne se ho rahi thin khun-fishan kal raat ko