aaj phir us gali mein jate hain apni qismat ko aazmate hain lab-e-shirin se dete hain dushnam shahd mein zahar wo milate hain kijiye war tegh-e-abru ka sar-e-taslim hum jhukate hain ishq mein ho gae hain hum mazdur naz mahbubon ke uthate hain mujh ko ghayal jo un ko karna hai zahr mein tegh ko bujhate hain wo baras padte hain agar mujh par mere dil ki lagi bujhate hain zulf chhu li jo main ne wo bole tum se gustakh mar khate hain hijr mein kya kahen ghiza kya hai gham-e-jaan-kah roz khate hain mujh se raunaq hai un ki mahfil ki shama-san mujh ko wo jalate hain baad murdan ye un ki dil-sozi shama le kar lahad pe aate hain tark-e-ishq-e-butan kiya ai 'badr' ab madine ko hum to jate hain