jab jawani nahin to phir kya hai zindagani nahin to phir kya hai nazm wasf-e-dahan jo karta hun ghaib-dani nahin to phir kya hai hur ke zikr par bigadte ho bad-gumani nahin to phir kya hai khub dekhi shabih yusuf ki naqsh-e-sani nahin to phir kya hai khush-nawayan-e-bagh-o-kunj-e-qafas dana-pani nahin to phir kya hai naz uthte nahin hasinon ke na-tawani nahin to phir kya hai di jagah mujh ko apne pahlu mein mehrbani nahin to phir kya hai arini ka jawab ai musa lan-tarani nahin to phir kya hai dil-e-muztar mein dagh chhalle ka ye nishani nahin to phir kya hai ho pareshan mujh se khalwat mein bad-gumani nahin to phir kya hai aatish-e-tar ko dekh ai waiz aag pani nahin to phir kya hai tere saqi safed sine mein arghawani nahin to phir kya hai tu sune tur par kalim ki baat khush-bayani nahin to phir kya hai zindagi jis ko log kahte hain 'badr' fani nahin to phir kya hai