aaj rota hai mere dil ko jalane wala pani ko daudta hai aag lagane wala kab wo hum ko bhala khatir mein hai lane wala kaun duniya mein raha naz uthane wala kaise milta hai zamane ko nibhane wala jo mila hum ko mila dil ka dukhane wala koi na-fahm kahan baat ko teri samjhe kya hi andaz hai har baat udane wala phir ke dekha na kabhi koi ho jita marta kaisa be-rahm hai munh pher ke jaane wala khauf kis ka hai tumhein hila bahana na karo aa hi jata hai har ek taur se aane wala ai saba kah de ki khamosh rahe murgh-e-sahar kaun hota hai wo sote ko jagane wala pahlu-e-qabr mein ek roz hai sona sab ko naznin koi ho ya naz uthane wala naza mein dekh ke 'diwan' ko ro kar bole rutha jata hai mera aaj manane wala