aaine se aankh ladi hai armanon pe os padi hai ghar aangan zulmat ke pahre darwaze par dhup jadi hai mausam mausam karb ka mausam dali dali aanch kadi hai apna chehra dhund raha hun aaine par dhul padi hai sahra sahra dhundne walo dariya dariya pyas khadi hai lahja lahja zahr mein duba chhota munh aur baat badi hai sachchai ke panw mein 'nashtar' dahshat ki zanjir padi hai