aaj ruswa hain to hum kucha-o-bazar bahut ya kabhi git bhi gate the sar-e-dar bahut apne haalat ko suljhao to kuchh baat bane mil bhi jaenge kabhi gesu-e-khamdar bahut dil ke zakhmon ko bhi mumkin ho to dekho warna chand se chehre bahut phul se rukhsar bahut aaj mahaul mein fitne hain sar-e-dair-o-haram aaj behtar hai parastish ko dar-e-yar bahut lut gae ek hi angdai mein aisa bhi hua umr-bhar phirte rahe ban ke jo hoshiyar bahut ajnabi ban ke rahe shahr mein hum haalanki saya-e-zulf bahut saya-e-diwar bahut 'qais' na-qadri-e-ahbab ka shikwa hai fuzul koi yusuf hi nahin warna kharidar bahut