aaj shab-e-mearaj hogi is liye tazin hai wo qadam utthe hain jin ko aasman qalin hai man ne padh kar phunk di thi mujh pe bachpan mein kabhi mere dil par naqsh ab tak sura-e-yasin hai ashk ke bose ki lazzat kya bataun main tumhein kya bataun main tumhein ye kis qadar namkin hai us ko darweshi samajhne walon par hairan hun hath mein kasa uthana ishq mein tauhin hai ilm ki khwahish tumhein manzil talak le jaegi jaane wale to bano agle qadam par chin he aur bhi yaron se kahna waqt pe sab aa milen mere ghar ke sahn mein ek khwab ki tadfin hai sochna is bab mein bekar jaega tera ye mohabbat hai miyan us ka alag aain hai us ke lab par ek dua hai sirf meri maut ki mere lab par kuchh nahin kuchh bhi nahin aamin hai ab mohabbat ki taraf main lautne wala nahin dil ye tu ne thik samjha aisa hi kuchh scene hai ud raha hai 'zeb' ki tahrir ke aahang mein ye parinda hazrat-e-iqbaal ka shahin hai