aaj tak phirta raha main tujh mein hi khoya hua tujh se bichhda hun to khud se mil liya achchha hua zindagi ki chilchilati dhup mein aisa hua muddaton hum par na teri yaad ka saya hua dil se shayad tera gham bhi ab juda hone ko hai phir raha hun in dinon khud se bhi main uljha hua tum chamakti car phulon ki mahak ek ajnabi aise lagta hai ye manzar hai mera dekha hua reza reza ho gaya main to ne jab aawaz di teri khamoshi se tha main is qadar tuta hua kitni yaaden aansuon mein tharthara kar rah gain us ne jab puchha kaho 'azad' tum ko kya hua