bikhra hun jab main khud yahan koi mujhe girae kyun pahle se rakh rakh hun phir bhi koi bujhae kyun isa na wo nabi koi adna sa aadmi koi phir bhi salib-e-dard ko sar pe koi uthaen kyun sare jo gham-gusar the kab ke raqib ban chuke aise mein doston koi apna ye gham sunae kyun yakta wo zat-e-akbari dil ye haqiro asghari itni wasia shai bhala dil mein mere samae kyun palta hamare khun se hai ishq magar adu se hai apna nahin jo bewafa hum ko yun aazmae kyun subh ka waqt aae to khud hi bujhega ye charagh is ko sahar se peshtar koi magar bujhae kyun jis par giri hai barq bhi jis pe hawa ki hai nazar shakhon mein aisi ai 'sahab' ghar bhi koi banae kyun