aaj tanhai mein is dil ko jala kar dekhun aur phir jalta diya khud hi bujha kar dekhun zindagi tere liye raqs kiya hai kitna dil ye kahta hai ki ab tujh ko nacha kar dekhun khud hi tayyar karun kachcha ghada main apna aur phir khud ko hi dariya mein baha kar dekhun kisi jangal se guzarte hue gum ho jaun ban ke darwesh main khud ko bhi bhula kar dekhun tu nahin pas to phir kyon tujhe mahsus karun teri khushbu mein base khat bhi jala kar dekhun ab chali jaun sarabon ke taaqub mein kahin reg dar reg main sahra mein naha kar dekhun raat dariya mein baha aai main sari nazmen wo hunar kya hai jise sab ko suna kar dekhun