bahut ghabra rahe ho raushni se

bahut ghabra rahe ho raushni se
mohabbat ho gai hai kya kisi se

pata deti hai ye chehre ki rangat
khuda khush hai to bas ek aap hi se

shanasai nikal aai purani
nahin to kyon lipatta ajnabi se

zaban se yun ada hoti hai urdu
surili tan jaise bansuri se

qadam donon taraf se badh chuke hain
mohabbat hogi ruswa wapsi se

hansi aai kabhi yalghaar-e-gham par
chhalak aain kabhi aankhen khushi se

bahut ba-zarf hun lekin pasheman
samundar bol uttha tishnagi se

hifazat kar na pae 'nazr' dil ki
churaya hi gaya is sadgi se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close