aaj to hamdam azm hai ye kuchh hum bhi rasmi kaam karen kilk utha kar yar ko apne nama-e-shauq arqam karen khubi se alqab likhen aadab bhi khush-aini se baad is ke hum tahrir mufassal furqat ke aalam karen ya khud aawe aap idhar ya jald bulawe hum ko wahan is matlab ke likhne ko bhi khub sa sar-anjam karen husn ziyaada aan moassir naz ki shokhi ho wo chand aise kitne harf likhen aur nae ko ashmam karen sun kar wo hans kar yun bola ye to tumhein hai fikr abas aql jinhen hai wo to hargiz ab na khayal-e-kham karen kaam yaqinan hai wahi achchha jo ki ho apne mauqa se baat kahen ya nama likhen yaro subh se sham karen is mein bhala kya hasil hoga soch to dekho miyan 'nazir' wo to khafa ho phenk de khat aur log tumhein bad-nam karen