aaj un par raaz-e-dil ifsha karen husn ko maghrur-o-khud-ara karen chand din un ko na ab dekha karen yani kuchh un ko bhi tadpaya karen is tarah ho yun karen aisa karen un se milne ka koi chaara karen aap to jo kuchh karen achchha karen hum kahen to shikwa-e-be-ja karen maut bhi mange se milti hai kahan phir ye kyunkar ho ki wo aaya karen wo abhi aaen chale jaen abhi ghar ko wo gulshan kabhi sahra karen chahne par aap ke mauquf hai aap chahen to abhi achchha karen ban sake un se na kuchh aae baghair apne dil mein wo kashish paida karen 'saib' apne waqt par aati hai maut zindagi se lakh uktaya karen