hansi ki aankh mein phaila nami ka rang dekha hai andheron mein lipatta raushni ka rang dekha hai sada pahlu mein bhi madd-e-muqabil ki tarah rahna kisi ki dosti mein dushmani ka rang dekha hai badi gahri mohabbat ki dhanak hai jin nigahon mein unhi mein gahe gahe dil-lagi ka rang dekha hai kitabon se nikalta hai to pahchana nahin jata wagarna samne aksar khushi ka rang dekha hai chura kar le na jae faslon ki dhup bhi jis ko kisi par is qadar gahra kisi ka rang dekha hai ye dekha hai ki gumrahi nishan banti hai manzil ka taghaful ki dagar mein aagahi ka rang dekha hai shikasta sokhta-jaan bhi tamanna-e-bahaaran bhi darakhton par khizan mein aadmi ka rang dekha hai lage jo dhup ud jae mile barish to bah jae sabhi rangon se kachcha zindagi ka rang dekha hai na jaane us pe utrega kabhi thahraw ka mausam har ek lahza badalta odhni ka rang dekha hai