aaj unhen dekh liya bazm mein farzanon ki hum ne tarif suni thi tere diwanon ki dida-war silsial-e-ashk samajhte hain jise kahkashan hai mere mahbub ke ehsanon ki tum ko aana hai to aa jao ujala hai abhi shamen raushan hain mere gham ke shabistanon ki mo'tariz hain meri diwana-washi par wo log jin ko daman ki khabar hai na garebanon ki hum hain mai-khana-e-fitrat ke sharabi hum ko na surahi ki zarurat hai na paimanon ki hans rahe ho to hanso aur hanso khub hanso haalat-e-zar pe hum be-sar-o-samanon ki ahd-e-hazir ke nae 'mir' wahan honge 'habab' mujh ko mahfil mein na le jao sukhan-danon ki