aajiz tha be-ijz nibhai rasm-e-judai maine bhi

aajiz tha be-ijz nibhai rasm-e-judai main ne bhi
us ne mujh se hath chhudaya jaan chhudai main ne bhi

jangal ke jal jaane ka afsos hai lekin kya karna
us ne mere par girae aag lagai main ne bhi

us ne apne bikhre ghar ko phir se sameta thik kiya
apne baam-o-dar pe baithi gard udai main ne bhi

nauha-garan-e-yar mein yaron mera nam bhi likh dena
us ke sath bahut din ki hai naghma-sarai main ne bhi

ek diya to marqad par bhi jalta hai 'asim' aakhir
duniya aas pe qaem thi so aas lagai main ne bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close