nam wo mera pukare ja raha tha main kahan tha hadisa ye khubsurat kab hua tha main kahan tha dhundhta main phir raha tha jis ko sare shahr bhar mein wo to mere ru-ba-ru baitha hua tha main kahan tha meri bazi ko palatne ke liye tayyar the sab samne mere ye sab kuchh ho raha tha main kahan tha aaj wade se mukarta phir raha hai chhup raha hai us ne sab ke samne wada kiya tha main kahan tha gham bhulane ke liye sab log baithe the wahan par mere jaison ke liye hi mai-kada tha main kahan tha ab na shayad mil saken ek dusre se yun kabhi hum jate jate us ne mujh se ye kaha tha main kahan tha mera daman kyon raha 'ejaz' khali rahmaton se jholiyan allah sab ki bhar raha tha main kahan tha