aajizi ko chalan kiye hue hain

aajizi ko chalan kiye hue hain
khak apna badan kiye hue hun

hijr ek mustaqil libas mera
jis ko main zeb-e-tan kiye hue hun

chand aansu mera asasa hain
jin ko main waqf-e-fan kiye hue hun

aable ug rahe hain panw mein
dasht-e-sarw-e-suman kiye hue hun

ghar mein rah kar bhi ghar nahin rahta
khud ko yun be-watan kiye hue hun

maut se pahle mar gaya hun main
zindagi ko kafan kiye hue hun

us ka lahja karakht ho gaya hai
aur main husn-e-zan kiye hue hun

ek teri yaad hai jise 'zahid'
apne dil ki chubhan kiye hue hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close