fasil-e-jism gira kar bikhar na jaun main yahi khayal hai ji mein ki ghar na jaun main badan ke tapte jahannam mein khwahishon ka safar isi safar ke bhanwar mein utar na jaun main hui tamam masafat is ek khwahish mein ki ab wo lakh bulae magar na jaun main bikher deta hai kuchh aur jab bhi milta hai use to wahm yahi hai sanwar na jaun main wo jis ki chah mein dushwar manzilen tai kin khamosh us ke nagar se guzar na jaun main 'nawed' us se mera rabt lafz o mani ka ye rabta na rahe gar to mar na jaun main