aakhir-e-shab wo teri angdai kahkashan bhi falak pe sharmai aap ne jab tawajjoh farmai gulshan-e-zist mein bahaar aai dastan jab bhi apni dohrai gham ne ki hai badi pazirai sajda-rezi ko kaise tark karun hai yahi wajh-e-izzat-afzai tum ne apna niyaz-mand kaha aaj meri murad bar aai aap farmaiye kahan jaun aap ke dar se hai shanasai us ki taqdir mein hai wasl ki shab jis ne bardasht ki hai tanhai raat pahlu mein aap the be-shak raat mujh ko bhi khub nind aai main hun yun ism-ba-musamma 'aziz' waris-e-pak ka hun shaidai