chand uljhi hui sanson ki ata hun kya hun main charagh-e-tah-e-daman-e-saba hun kya hun har nafas hai mera parwarda-e-aghosh-e-bala apne na-karda gunahon ki saza hun kya hun mujh pe khulta hi nahin mera sitam-dida wajud koi patthar hun ki gum-karda sada hun kya hun dil mein hun aur zaban par kabhi aata bhi nahin main koi bhola hua harf-e-dua hun kya hun main safar mein hun magar samt-e-safar koi nahin kya main khud apna hi naqsh-e-kaf-e-pa hun kya hun main ne dekha hi nahin jagti aankhon se kabhi koi uqda hun ki khud uqda-kusha hun kya hun puchhta hai mera pairahan-e-hasti mujh se main qaba hun ki faqat band-e-qaba hun kya hun dil ki aur meri zaban ek hai phir bhi 'akhtar' lafz o mani ki pur-asrar faza hun kya hun