aakhir khud apne hi lahu mein dub ke sarf-e-wigha hoge qadam qadam par jang ladi hai kahan kahan barpa hoge haal ka lamha patthar thahra yun bhi kahan guzarta hai hath mila kar jaane walo dil se kahan juda hoge maujon par lahraate tinko chalo na yun itra ke chalo aur zara ye dariya utra tum bhi lab-e-dariya hoge socho khoj mila hai kis ko rah badalte taron ka is wahshat mein chalte chalte aap sitara sa hoge sine par jab harf-e-tamanna dard ki surat utrega khudi aankh se tapkoge aur khud hi dast-e-dua hoge sukhe pedon ki sab lashen gharq kaf-e-sailab mein hain qaht-e-ab se marte logo bolo ab kya chahoge baat ye hai is bagh mein phul se patta hona achchha hai rang aur khushbu bantoge to pahle rizq-e-hawa hoge ai mere na-gufta shero ye to batao mere baad kaun se dil mein qarar karoge kis ke lab se ada hoge