muskuraate hue phulon ka araq sab ka hai un ke jalwon se ayan hai jo sabaq sab ka hai jis ko padhne se meri zist ziya-bar hui us pe tahrir khuda ki hai waraq sab ka hai jitni hajat ho miyan utna hi hissa lena apne atraf ke saman pe haq sab ka hai mutthiyan bhar ke lahu main ne uchhaala barson is se tashkil hua rang-e-shafaq sab ka hai log kis tarah dikhate hain tabassum ki numud ruh kajlai hai chehra bhi to faq sab ka hai