aakhir ko ishq kufr se iman ho gaya main but-parastiyon se musalman ho gaya mai to halal hai jo piye dhab se baada-nosh main tauba kar ke aur pasheman ho gaya rindan-e-be-riya ki hai sohbat kise nasib zahid bhi hum mein baith ke insan ho gaya us ghunche mein samai hai wahshat ba-rang-e-bu dil kitni tangiyon pe bayaban ho gaya lo ai buto suno ki wo 'dagh'-e-sanam-parast masjid mein ja ke aaj musalman ho gaya