aalam-e-yas mein ghabrae na insan bahut dil salamat hai to hasrat bahut arman bahut kash do chaar hazaron mein to hon kafir-e-ishq hum ne kabe mein bhi dekhe na musalman bahut sar uthata nahin tu sharm-e-jafa se zalim ya kiye hain kisi kam-bakht ne ehsan bahut tum ki bedad karo aur na sharmao zara hum ki na-karda-gunah aur pasheman bahut hasraten roz nai dil mein bhari jati hain thode thode bhi hue jate hain mehman bahut sochiye dil mein to hai ishq nihayat dushwar na samajhiye to yahi kaam hai aasan bahut bazm-e-ahbab mein ai 'dagh' kabhi to hans bol dekhte hain tujhe har waqt pareshan bahut