aakhir ko rah-e-ishq mein hum sar ke bal gae mushkil mein hath panw hamare nikal gae kis kis ko yaad kar ke koi roe ai falak aankhon ke aage lakh zamane badal gae ushshaq-e-lucknow ki kashish dekh ai masih london ke khub-ru bhi farangi-mahal gae apna suragh puchhte phirte hain maut se aafat-zadon ke hijr mein naqshe badal gae badlo radif aur padho sher ai 'munir' kya faeda jo us ke qawafi badal gae