apne apne lahu ki udasi liye sari galiyon se bachche palat aaenge dhup ki garm chadar simatte hi phir ye sunahri parinde palat aaenge sham aai hai aur saaton ke qadam paniyon ki rawani mein rukne lage kaun kahta hai in baadalon se pare aasman par sitare palat aaenge ye dariche isi tarah raushan rahen aur gulabon ki khushbu salamat rahe phir isi chhanw mein sans lene ko hum apne apne gharon se palat aaenge hum musafir hain gard-e-safar hain magar ai shab-e-hijr hum koi bachche nahin jo abhi aansuon mein naha kar gae aur abhi muskuraate palat aaenge phir unhi zard pedon ke nange badan shoala-e-nakhl se rakh hone lage main to samjha tha mausam badalte hi phir daliyon par wo patte palat aaenge ye safine jo ek lahr ke waste apne apne bahaw mein bahne lage ek adhuri masafat ki taswir mein phir koi rang bharne palat aaenge ek din yaad aaunga 'sajid' use umr ki be-karani mein main bhi kahin sham aaegi aur mere aangan mein bhi in darakhton ke sae palat aaenge