aakhir na chali koi bhi tadbir hamari ban ban ke bigadne lagi taqdir hamari ye ishq ke hathon hui tauqir hamari bazaron mein bikne lagi taswir hamari is tarah ke din raat dikhati hai karishme taqdir pas-e-parda-e-tadbir hamari jaldi na karo dhaar hai khanjar pe abhi to ho lene do sabit koi taqsir hamari kuchh khun ki chhinten kahin ashkon ki nami hai jati hai ajab shan se tahrir hamari har samt dahak uthti hai ek aag jahan mein lo deti hai jab raat ko zanjir hamari bas dal lo chehre pe naqab apne khudara be-rabt hui jati hai taqrir hamari ye kahte hi bas mar gaya nakaam-e-mohabbat tum bhi na hamare hue taqdir hamari 'alim' falak-e-tafraqa-pardaz ka dar hai bante hi bigad jae na taqdir hamari