aakhir shab-e-firaq ke taron ko kya karun tere siwa hasin nazaron ko kya karun ye aks-e-rang-e-gul bhi jalata hai zakhm-e-dil ab is chaman ke sard shararon ko kya karun ab tak surur hai mujhe teri hi bazm ka ab baada-e-safa ke khumaron ko kya karun gham tera ban chuka hai mere dil ka ma-hasal begana-e-khushi hun qararon ko kya karun ab daur hai khizaon ka mere nasib mein ab zindagi mein aai bahaaron ko kya karun 'saqi' hai mujh ko ab to talatum ka intizar kashti ko kya karun main kinaron ko kya karun