tujhe dekhe zara bhi jis ko shak ho uski sanat mein

tujhe dekhe zara bhi jis ko shak ho us ki sanat mein
nazar aata hai qudrat ka namuna teri surat mein

fana ke baad bhi raushan rahega chehra-e-ashiq
na farq aaega hargiz tere bimaron ki surat mein

natija khak mein mil jaega shab-zinda-dari ka
agar bhule se bhi jhapki palak shab-ha-e-furqat mein

maza aata hai dil ko bulbul-e-shaida ke nalon se
hawale mere afsanon ke hain us ki hikayat mein

zahe-bakht-e-rasa un ke jo pahonche qurb mein tere
bade aaram se hain saya-e-daman-e-daulat mein

nazar ko kaun qasr-e-yar tak pahunchae deta hai
laga di kis ne aisi durbin chashm-e-basirat mein

banata hai ghubar-e-dasht apni chashm ka surma
tere majnun ko ai laila nai sujhi hai wahshat mein

mai-e-gul-gun ki waiz se mazammat sun ke hans dena
chala aata hai ye dastur yaran-e-tariqat mein

main ai 'betab' khud majbur hun kuchh ban nahin padta
tapak padte hain aansu khud-bakhud aankhon se furqat mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close