aakhirash ek alamat haqiqat bani bat gae the hawaon mein dukh-sukh sabhi phir wahi be-karan ek be-kal khala phir safar-ta-safar sirf ek gumrahi ek uslub-e-sada riwayat bana phir fazaon pe ek tishnagi chha gai yun faramoshiyan ho gain kaamran be-hisi dil pe phir hukmran ho gai ek bedar nashshe ki surat liye khul gai rup ki shabnami tazgi silsila tod kar shokh lamhat ka aagahi bechta rah gaya aadmi aaj mayus manzar se hum bhi na the phir fazaon mein thi bolti khamushi